Friday, April 17, 2009

Dastoor-e-FAST

It's almost 5:30 in the morning and i thought of modifying Mr. Habib Jalib's famous poem "DASTOOR" as follows.

Dedicated to all FAST Family. :)


Dastoor-e-FAST

Dastoor Jis Dars Gah Ka Badalta Rahey
Chand Logon Ki Khushiyon Ko Ley Kar Chaley
Woh Jo Sa'iye Mein Har Doctor Ke Paley
Aisey Dastoor Ko, Aisey Muntazim Ko
Mein Nahin Maanta, Mein Nahin Jaanta

Mein Bhi Kha'if Nahin Takhta-e-Daar Sey
Mein Bhi Student Hoon Keh Do Director Sahib Sey
Kyoon Darratey Ho DC Ki Talwaar Sey
Zulm Ki Baat Ko, Aisey Ehtesaab Ko
Mein Nahin Maanta, Mein Nahin Jaanta

"F" Theethon Ko Milne Laggein, Tum Kaho
Course Chailon Ko Milne Laggein, Tum Kaho
Pre-Req Courses Ke Roz Badalne Laggein, Tum Kaho
Is Khulley Jhoot Ko, Paison Ke Loot Ko
Mein Nahin Maanta, Mein Nahin Jaanta

Tum Ney Loota Hey Har Semester Hamara Sakoon
Ab Na Hum Par Chaley Ga Tumhara Qanoon
Chaaragar Hum Sabke Bantey Ho Kyun
Tum Nahin Chaaragar, Koi Maney Magar
Mein Nahin Maanta, Mein Nahin Jaanta

1 comments:

Anonymous said... @ April 17, 2009 at 9:14 AM

ALaa- too good :)

Post a Comment