Sunday, April 19, 2009

Dastoor-e-FAST - Modified

When i wrote the first version in 15 minutes and posted it, I didn't anticipate such a wonderful response. Fahad Liaqat pointed out a technical mistake on Facebook, after which i am publishing this modified version.


Dastoor-e-FAST

Dastoor Jis Dars Gah Ka Badalta Rahey
Chand Logon Ki Khushiyon Ko Ley Kar Chaley
Woh Jo Sa'iye Mein Har Doctor Ke Paley
Aisey Dastoor Ko, Aisey Muntazim Ko
Mein Nahin Maanta, Mein Nahin Jaanta

Mein Bhi Kha'if Nahin Takhta-e-Daar Sey
Mein Bhi Student Hoon Keh Do Director Sahib Sey
Kyoon Darratey Ho DC Ki Talwaar Sey
Zulm Ki Baat Ko, Aisey Ehtesaab Ko
Mein Nahin Maanta, Mein Nahin Jaanta

Daad Rassi Student Ke Hone Laggay, Tum Kaho
Graduation Waqt Par Hone Laggay, Tum Kaho
Nokri University Lagwane Laggay, Tum Kaho
Is Khulley Jhoot Ko, Zehan Ke Loot Ko
Mein Nahin Maanta, Mein Nahin Jaanta

Tum Ney Loota Hey Har Semester Hamara Sakoon
Ab Na Hum Par Chaley Ga Tumhara Qanoon
Chaaragar Hum Sabke Bantey Ho Kyun
Tum Nahin Chaaragar, Koi Maney Magar
Mein Nahin Maanta, Mein Nahin Jaanta

1 comments:

vividentity said... @ April 19, 2009 at 2:06 PM

Chhah gaye ho Rafaeeel!

yeh tum nay likhi, waqt nikal kar!
baghair chhapa maray, zehan laga kar!

aisi tehreer ko! aisi tasweer ko,
mein nahi maanta, main nahi jaanta!

Post a Comment