Saturday, December 12, 2009 |
Homecoming 2009 Kay Mundarjaat |
Alumni Homecoming par gaya tu socha tha ke kutch logon ke shakayat duur ho jaeygee and na milne ka shikwa dam torega but shaid us maqsad mein kamyaab naheen ho sakka. Aaj jab Wahab Butt Ne Istafsaar Kiya “Aur Janab Kahan Ghaib Hein? It’s been a while” tu ehsaas hoa ke kutch likh dena chahiyeh takay sinad rahay aur bawaqt-e-zaroorat kaam aye.
Homecoming Se Aik Din Pehlay, Kutch Career Changes aayen. Sab logon ko SMS karke mutalah kiya laikin phir bhee har aikne poochna tu tha hee “Haan Jee, Aur Ajkal Kaya Kar Rahay Ho?” “Sunna Hai Masters Ke Liye Nikal Rahay Ho?” “Yaar Kabhi Mil He Liya Kar”. “Barra CEO Ho Gaya Hai, Ab Hamein Kahan Lift Karaega” jaise jumle sunanay ko mille. Jabke Jinke kehnay par Homecoming mein shamooliyat ikhtiyar ke, unhon ne nazar andaaz kiya ya phir baishtar ne shirkat karna he munasib na samjha.
Hamza Rana Ka Itna Barra Fan Naheen Hoon, Laikin Irfan Bhai and Ahmed Bhai Ne Jab Saath Chalne Par Israar Kiya Tu Socha Ke Is Azeem Hastee Se Bhee Mulaqat Kar Leni Chahiyeh. Hamza Bhai Se Goh Ke Pehli Daffa Milla Laikin Unke Aik Jumlay Ne Sharminda Sa Kar Diya. Woh Jumla Jo Bhee Tha Meri Zaat Se Mutaliq Tha, Meray Faislon Ya Career Path Se Naheen. Aur Sirf Mujhe Ussi Jumle Se Ehsaas Hoa Ke “It really is Homecoming”. iShukrofyYouRana
Asim aur Aqeel Bhai Ke Saath Bhe Acha Waqt Guzra Aur Phir Meinay Is Mehfil Se Ruksat Leina He Munasib Samjha. Saood Ka Shukriya Jo Usne Mujhe Wapsi Par Sawari Dee Aur Meinay Apne Driver Ko Zehmat Dena Munasib Naheen Samjha.
Ghar Aa Ke Sabse Pehlay Un 120 business emailon ka safaaya karna shruu kiya jinka mein pichle 2 hafte se jawab na de sakka tha aur thaana ke Monday Se Aik Naey Walwalay se zindagi ka aghaaz karoonga.
0 comments:
Post a Comment